siyah-khana-e-jaan mein sharar-e-shauq ki hai ye tazgi ye damak nau-bahaar shauq ki hai tamam zabza-o-diwar zard hai phir bhi dabi dabi si sada aabshaar-e-shauq ki hai yahi badan se badan ka hai walihana kalam meri ragon mein jo masti khumar-e-shauq ki hai na tund-o-tez hawa hai na mauj-e-tufan-khez yahi to umr miyan karobar-e-shauq ki hai hai didani dar-o-diwar aarzu ki chamak ajib raushni sham-e-mazar-e-shauq ki hai nigah-e-naz fusun-afrin ko hai malum ki nok tuti hui dil mein khar-e-shauq ki hai yahi hai nuqta-e-aghaz shahr-e-gul 'ishrat' isi dayar mein khushbu dayar-e-shauq ki hai