samajh sako to ye tishna-labi samundar hai ba-qadr-e-zarf har ek aadmi samundar hai ubhar ke dub gai kashti-e-khayal kahin ye chand ek bhanwar chandni samundar hai jo dastan na bane dard-e-bekaran hai wahi jo aankh hi mein rahe wo nami samundar hai na sochiye to bahut mukhtasar hai sail-e-hayat jo sochiye to yahi zindagi samundar hai tu is mein dub ke shayad ubhar sake na kabhi mere habib meri khamushi samundar hai