samajh rahe the ki apni sudhar gai duniya hamein to muft mein badnam kar gai duniya mutalbon se nahin mil saki najat kabhi hawas ke zinda taqazon se bhar gai duniya har ek aankh mein chadhta hua ana ka nasha har ek harf-e-wafa se mukar gai duniya asir kar ke tabahi ke mujh ko daldal mein batae kaun ye mujh ko kidhar gai duniya wo kya hue mere pur-kaif pur-sukun lamhe mujhe talash hai jis ki kidhar gai duniya kati hui hai har ek shakh ped se 'mohsin' lo barg-e-khushk si ab ke bikhar gai duniya