sham kajlai hui raat abhagan jaisi rut nahin aati kisi ganw mein sawan jaisi rang tesu mein khile hain teri chunari ki tarah ban mein phulon ki mahak hai tere aangan jaisi us ki aawaz mein hai sat suron ka sangit baat bhi wo kare to bajti hai jhanjhan jaisi raat ki waishya lakh aankhon mein kajal pare subh mang apni sajaegi suhagan jaisi ek pal bichhden to lagta hai yugon ka ban-bas aur jab tak na milen rahti hai uljhan jaisi tu alag ruthi hui hai wo alag rutha hua gori kis baat pe sajan se hai an-ban jaisi aanch si lagti hai pahlu mein teri sanson ki ghaw par thandi hawa hai tere daman jaisi meri aankhon mein dil-awez saman hai 'ishrat' phulon par os ki har bund hai darpan jaisi