shikwa nahin hai is ka ki tum ne bhula diya achchha kiya ki rah ka patthar hata diya gham ko nashat-e-zist ka unwan bana diya us ne meri wafa ka ajab sa sila diya yun hans ke us ne tod diya rishta-e-ummid jaise kisi ne ret pe likkha mita diya duniya ki kam-nigahi ke shikwe ke sath sath ye sochiye ki aap ne duniya ko kya diya kuchh hum hi shab-gazida ujalon se dar gae duniya ne to adab se hamein rasta diya main wo charagh-e-bazm-e-tamanna hun dosto jis ko sahar se pahle hawa ne bujha diya