sahra ka pata de na samundar ka pata de achchha ho ki ab mujh ko mere ghar ka pata de hai kaun mera dushman-e-jaan mujh ko khabar hai kab main ne kaha mujh ko sitamgar ka pata de ye raat amawas ki to kate nahin katti ab aa ke mujhe mah-e-munawwar ka pata de khatre mein padi jati hai maqtul ki pahchan shayad hi koi shahr mein ab sar ka pata de be-samt-o-jehat bhid mein shamil na ho us se ummat ka pata puchh payambar ka pata de maidan hai khali koi parcham hai na sar hai hai kaun jo khoe hue lashkar ka pata de ab aakhiri tara bhi hua aankh se ojhal ai aasman ab subh ke manzar ka pata de