zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka

zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka
ek darwaza sa khulta hai kutub-khane ka

ek sannata dabe-panw gaya ho jaise
dil se ek khauf sa guzra hai bichhad jaane ka

bulbula phir se chala pani mein ghote khane
na samajhne ka use waqt na samjhane ka

main ne alfaz to bijon ki tarah chhant diye
aisa mitha tera andaz tha farmane ka

kis ko roke koi raste mein kahan baat kare
na to aane ki khabar hai na pata jaane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close