sahra sahra baat chali hai nagri nagri charcha hai raat ke gham mein suraj sain baadal odhe phirta hai jhonka jhonka teri khushbu mujh se lipat kar guzri hai reza reza teri khatir main ne jism ganwaya hai din-bhar baadal chham-chham barsa sham ko matla saf hua tab ja kar ek qaus-e-quzah par tera paikar ubhra hai tu ne jis ki jholi mein do phul bhi hans kar dal diye sari umr wo kaghaz par khushbu ki lakiren khinchta hai tum kyun tez nokile neze tan ke mujh par jhapte ho mera muqaddar tund bagulo yun bhi to bujh jaana hai main ne apne gird bana li zakhmon ki diwar nai ek purana gham lekin rah rah kar mujh par hansta hai jalte jalte main bujh jaun ya tu agni-rup mein aa tera mera mel ho kaise main suraj tu saya hai sab kohsar samundar sahra ghumen us ke gird 'rashid' wo ek shakhs jo duniya-bhar mein tanha tanha rahta hai