said hun roz-e-azal se aalam-e-asbab ka

said hun roz-e-azal se aalam-e-asbab ka
aur wa rakhta hun sine mein daricha khwab ka

samne aate hi us ke meri wahshat jag uthi
dhyan rahta tha mujhe yun to bahut aadab ka

kar-zar-e-ishq se bahar nikal kar dekhiye
sari basti mein ujala hai usi kamyab ka

aalam-e-ruya main dekha tha jase main ne kabhi
aks hai ab meri aankhon mein usi mehrab ka

aa gaya aakhir kitab-e-ishq ka anjam bhi
dur tak bikhra hua manzar hai pahle bab ka

sham hai aur surkh pedon ke dahakte sae bhi
nind mein bahta hua dhaara hai ju-e-ab ka

kis liye 'sajid' banata hun gharaunde ret ke
rukh badal sakta hai thodi der mein sailab ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close