sail ke labon par hai dua aur tarah ki aflak se aati hai sada aur tarah ki hai zist agar jurm to ai munsif-e-alam jurm aur tarah ka hai saza aur tarah ki is dil mein hai mafhum-e-karam aur tarah ka us dil mein hai tafhim-e-wafa aur tarah ki phulon ka tabassum bhi wo pahla sa nahin hai gulshan mein bhi chalti hai hawa aur tarah ki dete hain faqiron ko saza aaj bhi 'kaifi' log aur tarah se to khuda aur tarah ki