sair-e-shab-e-la-makan aur main ek hue raftagan aur main sans khalaon ne li sina bhar phail gaya aasman aur main sar mein sulagti hawa tishna-tar dam se ulajhta dhuan aur main ism-e-abad ki talash-e-tawil husn-e-shuru-e-guman aur main meri farawaniyan nau-ba-nau ab hai nashat-e-ziyan aur main donon taraf jangalon ka sukut shor bahut darmiyan aur main khak o khala be-charagh aur shab naqsh o nawa be-nishan aur main phir mere dil mein koi taza khot phir koi sakht imtihan aur main kab se bhatakte hain baham alag lamha-e-kam-mehrban aur main dur chhaton par barasta tha qahr chup rahe kyun tum yahan aur main ghair matalib kahin aur dhund sahl bahut sharh-e-jaan aur main