ye himaqat mere idrak pe chhai hui hai aansuon se tere taswir banai hui hai arsh hilne ka sabab puchhte kya ho mujh se ek dua halqa-e-tasir mein aai hui hai chand maddham hai diye chup hain sahar ruth gai kya mere gham mein giraftar khudai hui hai tum to bas tark-e-talluq ke liye aa hi gae ab ke is dil ne magar baat badhai hui hai munkashif hone laga khun hatheli pe mere ek ladki ki hatheli jo hinai hui hai itni wahshat ki hawas wajd mein aane se rahi ek sada jaanib-e-aflak se aai hui hai chhu lun honton se to dariya ko bhi sahra kar dun pyas teri mere honton pe samai hui hai shahar-e-viran ab aabaad hua chahta hai aaj is panchhi ki pinjre se rihai hui hai barish-e-ashk mein bah jaega ab shahr ka shahr aaj 'afaq' koi chiz parai hui hai