sair us sabza-e-ariz ki hai dushwar bahut

sair us sabza-e-ariz ki hai dushwar bahut
ai dil-e-abla-pa rah mein hain khar bahut

lo na lo dil mujhe bhati nahin takrar bahut
muft bikta hai mera mal kharidar bahut

khush raho yar agar hum se ho bezar bahut
dil agar apna salamat hai to dildar bahut

gham nahin go hum akele hain aur aghyar bahut
haq agar apni taraf hai to taraf-dar bahut

panw phailao na ab to mere pas aane mein
ediyan tum ne ragadwai hain ai yar bahut

kya karunga main bhala bagh ijare le kar
aashiyanon ko hain ek musht-e-khas-o-khar bahut

tan rindon pe na kar shaikh khuda-lagti bol
us ke altaf bahut hain ki gunahgar bahut

kya zamane mein mohabbat ka maraz phaila hai
achchhe do-chaar nazar aate hain bimar bahut

lambe lambe tere baalon ka mujhe sauda hai
tul khinga meri jaan ye aazar bahut

talkhi-e-marg ka hargiz mujhe andesha nahin
baithi munh par hai mere yar ki talwar bahut

bas tumhaari yahi khu sakht buri lagti hai
thodi taqsir pe ho jate ho bezar bahut

ghar mein us but ke rasai na hui par na hui
'bahr' ne putli bhi gadi pas-e-diwar bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close