sakht na-hamwar o mushkil tha magar aisa na tha main ne jab rahen tarashi thin safar aisa na tha kis zamane ka hawala de rahe ho dosto aaj se pahle to jine ka hunar aisa na tha shamil-e-haalat agar hotin na kuchh khush-fahmiyan meri qismat mein bhatakna dar-ba-dar aisa na tha mujh se kyon mansub ho baithin wafa ki neamaten main to apne waste bhi mo'atabar aisa na tha main kahan aisa ki jhutlaun tumhein lekin ye hai main ne jab dekha jahan dekha bashar aisa na tha aaj tak bainassutur uljhi hui tahrir hun main ki patthar tha magar patthar-nazar aisa na tha main ne kis bute pe di 'hairat' sada tufan ko mere khwabon ka shabistan mera ghar aisa na tha