saqi-e-KHum-KHana tha jo subh-o-sham

saqi-e-khum-khana tha jo subh-o-sham
roz-e-adina tha masjid mein imam

jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li
ta-qayamat us pe hushyari haram

is lab-e-jaan-bakhsh ki baaten thin ya
moajazat-e-isi-e-gardun-maqam

ho gaya us ko qayamat ka yaqin
jis ne dekha sarw-qamat ka khiram

chashma-e-ab-e-baqa ki lahr thi
wo ibarat wo ishaarat la-kalam

marhaba itr-e-gareban ki shamim
hai moattar jis se ruhani masham

thi zaban ya qate-e-auham ya
zulfiqar-e-haidari thi be-niyam

jis ne dekha nargis-e-shahla ka khwab
is ne paya ramz-e-qalbi la-yanam

qala atmamto alaikum nemati
ho gain sab khubiyan us par tamam

jis ne chati utba-e-uliya ki khak
talkhi-e-dauran se ho kyun talkh-kaam

ai saba sahra-e-jaan mein kar talash
kis taraf hain wo suradiq wo khiyam

khalwat-e-laila mein tu guzre agar
to ye kah dena hamara bhi payam

tishnigan-e-shauq hain gum-karda-rah
tu bhi chal bahr-e-khuda do-chaar gam

bahr mein barpa hua josh-o-kharosh
habbaza rushhat-e-kasatil-kiram

saunp di thi dast-e-qudrat ne tujhe
naqa-e-laila-e-mani ki zamam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close