zehn aur dil mein ajab jang hui hai is bar zindagi mom se phir sang hui hai is bar teri duniya jise hairat se sabhi dekhte hain dekh kar mujh ko bahut dang hui hai is bar mujh ko badlao nazar aaya hai khud mein bhi bahut har ada us ki bhi be-dhang hui hai is bar main jise ishq ki mearaj samajh baitha tha wo tapasya bhi meri bhang hui hai is bar fikr ke sahn mein masum ghazal ki titli mera khun chus ke khush-rang hui hai is bar main ghazal ko koi aahang nahin de paya to ghazal khud mera aahang hui hai is bar aasman-e-sukhan-o-sher se jo utri thi wo zamin mujh pe bahut tang hui hai is bar