ye kya hua hai raat ko kyunkar nidhaal hai meri hi tarah chand falak par nidhaal hai diwar o dar ne rangon se daman chhuda liya yak-rangi-e-sukut se kyun ghar nidhaal hai us se hazar dariya lipatne ko muntazir phir kis ke intizar mein sagar nidhaal hai bahar nikal ke dekh teri aarzu mein koi kab se pada hua tere dar par nidhaal hai ab kaun puchhta hai use is dayar mein sajda-guzar koi nahin dar nidhaal hai 'sani' hamara haal yun pahle na tha kabhi bahar hai khast khast to andar nidhaal hai