tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate warna hum ko bhi tamanna thi ki chahe jate dil ke maron ka na kar gham ki ye andoh-nasib zakhm bhi dil mein na hota to karahe jate kam-nigahi ki hamein khud bhi kahan thi taufiq kam-nigahi ke liye uzr na chahe jate kash ai abr-e-bahaari tere bahke se qadam meri ummid ke sahra mein bhi gahe jate hum bhi kyun dahr ki raftar se hote pamal hum bhi har laghzish-e-masti ko sarahe jate lazzat-e-dard se aasuda kahan dil wale hain faqat dard ki hasrat mein karahe jate hai tere fitna-e-raftar ka shohra kya kya garche dekha na kisi ne sar-e-rahe jate di na mohlat hamein hasti ne wafa ki warna aur kuchh din gham-e-hasti se nibahe jate