saya tha mera aur mere shaidaiyon mein tha ek anjuman sa wo meri tanhaiyon mein tha chhanti thi shab ko chandni baadal ki ot se paikar ka is ke aks sa parchhaiyon mein tha koyal ki kuk bhi na jawab is ka ho saki lahra tere gale ka jo shahnaiyon mein tha jis dam meri imarat-e-dil shoala-posh thi main ne suna ki wo bhi tamashaiyon mein tha uttha usi se zist ke ehsas ka khamir jo dard-e-dil ke zakhm ki pahnaiyon mein tha jab shahr mein fasad hua to amir-e-shahr dekha gaya ki aap hi balwaion mein tha behad hasin tha magar 'azar' mujhe to bas yaad is qadar raha ki wo harjaiyon mein tha