tukhm-e-nafrat bo raha hai aadmi aadamiyat kho raha hai aadmi zindagi ka nam hai jehd-e-mudam so raha hai so raha hai aadmi aagahi hai shart jine ke liye phir bhi ghafil ho raha hai aadmi chal saka na rah par aslaf ki naqsh-e-pa ab kho raha hai aadmi kashif-e-zat-e-khuda tha sar-basar ab nahin hai jo raha hai aadmi apne hi aamal par pachhta ke ab ro raha hai ro raha hai aadmi qand-guftari ai 'mohsin' ab kahan zahr-asa ho raha hai aadmi