shab-e-firaq mein roya kiya sahar ke liye

shab-e-firaq mein roya kiya sahar ke liye
taras taras gain aahen meri asar ke liye

ilahi khair se us ki khabar mile mujh ko
chhuri hai tez wahan murgh-e-nama-bar ke liye

baja hai bose ka gar nil ban gaya rukh par
yahi to dagh munasib tha us qamar ke liye

mariz-e-hijr ne di jaan teri ghaflat se
na aaya ek din o be-khabar khabar ke liye

ziyaada fart-e-nazakat se sargiran wo hue
laga liya kabhi sandal jo dard-e-sar ke liye

payam us but-e-shirin-ada ka jab laya
badha ke hath qadam hum ne nama-bar ke liye

jo mehr-e-hashr mere dagh-e-dil ka phaha ho
rawa hai abr ka rumal chashm-e-tar ke liye

khayal-e-zulf mein din-raat hum hain sargardan
azal se tha yahi sauda hamare sar ke liye

duaen mangna hon jitni mang le 'wahbi'
khula hai bab-e-ijabat abhi asar ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close