ye narm narm hawa jhilmila rahe hain charagh tere khayal ki khushbu se bas rahe hain dimagh dilon ko tere tabassum ki yaad yun aai ki jagmaga uthen jis tarah mandiron mein charagh jhalakti hai khinchi shamshir mein nai duniya hayat o maut ke milte nahin hain aaj dimagh harif-e-sina-e-majruh o aatish-e-gham-e-ishq na gul ki chaak-garebaniyan na lale ke dagh wo jin ke haal mein lau de uthe gham-e-farda wahi hain anjuman-e-zindagi ke chashm-o-charag tamam shoala-e-gul hai tamam mauj-e-bahaar ki ta-had-e-nigah-e-shauq lahlahate hain bagh nai zamin naya aasman nai duniya suna to hai ki mohabbat ko in dinon hai faragh jo tohmaten na uthin ek jahan se un ke samet gunahgar-e-mohabbat nikal gae be-dagh jo chhup ke taron ki aankhon se panw dharta hai usi ke naqsh-e-kaf-e-pa se jal uthe hain charagh jahan-e-raaz hui ja rahi hai aankh teri kuchh is tarah wo dilon ka laga rahi hai suragh zamana kud pada aag mein yahi kah kar ki khun chat ke ho jaegi ye aag bhi bagh nigahen matla-e-nau par hain ek aalam ki ki mil raha hai kisi phutti kiran ka suragh dilon mein dagh-e-mohabbat ka ab ye aalam hai ki jaise nind mein dube hon pichhli raat charagh 'firaq' bazm-e-charaghan hai mahfil-e-rindan saje hain pighli hui aag se chhalakte ayagh