surat-e-zanjir mauj-e-khun mein ek aahang hai aagahi ki had pe ek khwab-e-junun ki jang hai jaane kin chehron ki lau thi jaane kis manzar ki aag nind ka resham dhuan hai khwab shoala-rang hai ek junun-khane mein khud ko dhundhta hai aadmi khud-tawafi mein bhi khud se sainkadon farsang hai kirm-khurda kashtiyan binai ki hain tah-nashin nam hawa se ustakhwanon mein utarta rang hai aag ko gulzar kar de us dua ka waqt hai warna khu-e-adamiyat aadmi par tang hai bu-e-gul rukhsat hui shayad ye ho khatm-e-bahaar tutti lai mein bikharti saut-e-shab-ahang hai ek markaz par ziden yakja hain aur gardish mein hain ye zamane ka taghayyur aalam-e-nairang hai