siyah rang darichon mein bhar gaya ek shakhs abhi makan ki chhat se utar gaya ek shakhs tamam shahr mein parchhaiyon ka ghera hai ufuq ki raushniyon mein bikhar gaya ek shakhs badan se jhadti hui rakh ka suragh na puchh hamare jism ke andar hi mar gaya ek shakhs badan khala mein mu'allaq dikhai deta hai dil-o-dimagh pe jadu sa kar gaya ek shakhs wo abr tha to sarabon hi pe barasta raha bana jo dhup to barbaad kar gaya ek shakhs phalang kar alam-o-yas ke nasheb-o-faraaz udasiyon ke nagar se guzar gaya ek shakhs kamal ye hai ki pedon ki saen saen mein 'shad' khud apne qadmon ki aahat se dar gaya ek shakhs