samundaron ke udhar se koi sada aai dilon ke band dariche khule hawa aai sarak gae the jo aanchal wo phir sanware gae khule hue the jo sar un pe phir rida aai utar rahi hain ajab khushbuen rag-o-pai mein ye kis ko chhu ke mere shahr mein saba aai use pukara to honton pe koi nam na tha mohabbaton ke safar mein ajab faza aai kahin rahe wo magar khairiyat ke sath rahe uthae hath to yaad ek hi dua aai