saneha nahin talta sanehe pe rone se habs-e-jaan na kam hoga be-libas hone se ab to mera dushman bhi meri tarah rota hai kuchh gile to kam honge sath sath rone se matn-e-zist to sara be-numud lagta hai dard-e-be-nihayat ka hashiya na hone se sachche sher ka khaliyan aur bharta jata hai dard ki zaminon mein gham ki fasl bone se hadsat-e-paiham ka ye maal hai shayad kuchh sukun milta hai ab sukun khone se