shab-charagh kar mujhko ai KHuda andhere mein

shab-charagh kar mujh ko ai khuda andhere mein
sanp ban ke dasta hai rasta andhere mein

aaina ujala hai zat ka hawala hai
phir bhi kis ne dekha hai aaina andhere mein

lekin ab bhi raushan hain khwab meri aaankhon ke
chand to kahin ja kar so gaya andhere mein

jab bhi band kin aankhen khul gain meri aankhen
raushni se guzra hun barha andhere mein

aadmi ki qismat bhi aagahi ki qismat bhi
ibtida andhere se intiha andhere mein

apne ilm par 'shabnam' naz kya kare koi
ek qadam ujale mein dusra andhere mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close