tabinda husn-e-raaz-e-bahaaran hamin se hai nazm-e-khizan jo hai to hirasan hamin se hai apne lahu ka rang mila hai bahaar mein lala misal-e-shola-e-raqsan hamin se hai jalta hai apna khun hi sar-e-bazm raat-bhar ai husn-e-be-khabar ye charaghan hamin se hai hum aaj shahr-e-yar ke matub hain to kya har-dam wo apne shahr mein tarsan hamin se hai rakkhi hai hum ne apni zaban par wafa ki tegh nam-e-niku-e-yar pur-afshan hamin se hai har-rang mein rahe hamin sar-chashma-e-hayat hai kaenat hum se to yazdan hamin se hai marhun-e-shuq baada-gusaran hai daur-e-jam mina huzur-e-yar ghazal-khwan hamin se hai shohra tera gaya mere naghmon ke sath sath aalam ko teri did ka arman hamin se hai aankhon mein 'arsh' dard ne bhadkae hain kanwal aab-e-rawan mein aatish-e-sozan hamin se hai