sharminda kiya jauhar-e-baaligh-nazri ne is jins ko bazar mein puchha na kisi ne sad shukr kisi ka nahin mohtaj-e-karam mein ehsan kiya hai teri bedad-gari ne mohtaj thi aaine ki taswir si surat taswir banaya mujhe mahfil mein kisi ne gul hanste hain ghunche bhi hain labrez-e-tabassum kya un se kaha ja ke nasim-e-sahari ne mayus na kar de kahin un ki nigah-e-garm ummid dilai hai mujhe sada-dili ne mehnat hi pe mauquf hai aasaish-e-geti khoi meri rahat meri rahat-talabi ne 'wahshat' main nigahon ke tajassus se hun aazad ehsan kiya mujh pe meri be-hunari ne