shairi ruh mein tahlil nahin ho pati hum se jazbaat ki tashkil nahin ho pati hum mulazim hain magar thodi ana rakhte hain hum se har hukm ki tamil nahin ho pati aasman chhin liya karta hai sara pani aankh bharti hai magar jhil nahin ho pati sham tak tut ke har roz bikhar jata hun yas ummid mein tabdil nahin ho pati raat-bhar nind ke sahra mein bhatakta hun magar subh tak khwab ki takmil nahin ho pati