sans ki aanch zara tez karo kanch ka jism pighal jaane do lam khali hai use mat chhedo nun ke pet mein nuqta dekho raat ke parde ulatte jao chand ka jism barahna bhi ho sar uthao na kanar-e-dariya mauj ko sar se guzar jaane do khud-ba-khud shakh lachak jaegi phal se bharpur to ho lene do aankh khulte hi ye aawaz aai chor ghus aaya hai ghar mein pakdo ungliyan chatte rah jaoge tum kabhi apna lahu chakh dekho maut sadkon pe phira karti hai ghar se niklo to sambhal kar niklo kaun ab sher kahe nazm likhe shahr hi chhod gai jab zebo tum ko dawa hai sukhan-fahmi ka jao 'ghaalib' ke taraf-dar bano kal wo 'adil' se ye farmate the shaeri chhod ke shadi kar lo