soe hue palang ke sae jaga gaya khidki khuli to aasman kamre mein aa gaya aangan mein teri yaad ka jhonka jo aa gaya tanhai ke darakht se patte uda gaya hanste chamakte khwab ke chehre bhi mit gae batti jali to man mein andhera sa chha gaya aaya tha kale khun ka sailab pichhli raat barson purani jism ki diwar dha gaya taswir mein jo qaid tha wo shakhs raat ko khud hi frame tod ke pahlu mein aa gaya wo chae pi raha tha kisi dusre ke sath mujh par nigah padte hi kuchh jhenp sa gaya