sans lena bhi saza lagta hai ab to marna bhi rawa lagta hai koh-e-gham par se jo dekhun to mujhe dasht aaghosh-e-fana lagta hai sar-e-bazar hai yaron ki talash jo guzarta hai khafa lagta hai mausam-e-gul mein sar-e-shakh-e-gul shoala bhadke to baja lagta hai muskuraata hai jo is aalam mein ba-khuda mujh ko khuda lagta hai itna manus hun sannate se koi bole to bura lagta hai un se mil kar bhi na kafur hua dard ye sab se juda lagta hai nutq ka sath nahin deta zehn shukr karta hun gila lagta hai is qadar tund hai raftar-e-hayat waqt bhi rishta-bapa lagta hai