sarsabz mausamon ka asar le gaya koi thodi si chhanw de ke shajar le gaya koi mera difaa mera hunar le gaya koi dastar jab bachai to sar le gaya koi kya kya na shauq-e-did the aankhon mein khema-zan wo ru-ba-ru hue to nazar le gaya koi yun bhi hua hai jashn-e-bahaaran ke nam par shakhen tarash dalin shajar le gaya koi aankhon ke aar-par jahaalat ki dhup hai sar se rida-e-ilm-o-hunar le gaya koi lahron mein iztirab na maujon mein pech-o-tab dariya-e-dil se mere bhanwar le gaya koi 'akhtar' nigar-khana-e-dil didani hai ab diwaren tod di gain dar le gaya koi