tha nasheman ki bulandi pe Thikana mushkil

tha nasheman ki bulandi pe thikana mushkil
kaise guzre mere din raat batana mushkil

muddaton sath andheron ka diya hai main ne
ab ujalon se hua hath milana mushkil

kya koi ghair ke bhi waste roya hoga
aaj hai khud pe bhi do ashk bahana mushkil

mere aate hi machi shahr mein tere halchal
ab to ruswai se hai tujh ko bachana mushkil

badh to aai hain wo zulfen mujhe dasne ke liye
aisi raaton ka hai ab sath nibhana mushkil

har qadam par thi taaqub mein mere nakaami
sham-e-ummid ka phir bhi tha bujhana mushkil

aisi gunje hai kahin dur koi shahnai
ki teri yaad se daman hai bachana mushkil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close