udasi kya bataun apne ghar ki faza khamosh hai ab baam-o-dar ki talash aur wo bhi husn-e-rahguzar ki kahan takmil ho zauq-e-nazar ki yahi rudad hai bas umr-bhar ki jahan saya mila hum ne basar ki khirad hai roz-o-shab ki kashmakash mein junun ko fikr kya sham-o-sahar ki dil-e-iza-talab hi jaanta hai karishma-saziyan husn-e-nazar ki hamesha fikr-e-sahil bahr-e-gham mein kabhi tufan pe bhi tu ne nazar ki hamari ehtiyaj-e-zindagi mein dua muhtaj phirti hai asar ki qafas se ud ke jaenge kahan hum zarurat kya rahi ab baal-o-par ki madar is ka hua jata hai shar par buri haalat hai ab nau-e-bashar ki ajal sar par khadi hai aa ke ghafil are kuchh fikr kar rakht-e-safar ki kahan hai aaj kal 'khushtar' wo duniya jahan kuchh qadr hoti hai hunar ki