teri ruh mein sannata hai aur meri aawaz mein chup tu apne andaz mein chup hai main apne andaz mein chup gahe gahe sanson ki aawaz sunai deti hai gahe gahe baj uthti hai dil ke shikasta-saz mein chup sannate ke zahr mein bujhte logon ko ye kaun batae jitna uncha bol rahe hain utni hai aawaz mein chup ek muddat se khushk pada hai wo jharna angdai ka jaane kis ne bhar di hai us paikar-e-naghma-saz mein chup rag rag mein jab khun ki bunden bulbul ban kar chahak uthin phir dil-e-'hafiz' kyun kar sadhe sine ke shiraaz mein chup