wahi hai wahshat wahi hai nafrat aakhir is ka kya hai sabab insan insan bahut rata hai insan insan banega kab wed upnishad purze purze gita quran waraq waraq ram-o-kirishn-o-gautam-o-yazdan zakhm-rasida sab ke sab ab tak aisa mila na koi dil ki pyas bujhata jo yun mai-khana-chashm bahut hain bahut hain yun to saqi-lab jis ki tegh hai duniya us ki jis ki lathi us ki bhains sab qatil hain sab maqtul hain sab mazlum hain zalim sab khanjar khanjar qatil abru dilbar hath masiha hont lahu lahu hai sham-e-tamanna aansu aansu subh-e-tarab dekhen din phirte hain kab tak dekhen phir kab milte hain dil se dil aankhon se aankhen hath se hath aur lab se lab zakhmi sarhad zakhmi qaumen zakhmi insan zakhmi mulk harf-e-haq ki salib uthae koi masih to aae ab