tabdiliyon ki rah pe chalne to de mujhe khud ko badal raha hun badalne to de mujhe bachcha nahin hun main jo bhatak jaunga kahin tanha rah-e-hayat mein chalne to de mujhe jalta hua charagh agar hai mera wajud phir apne dil ke taq mein jalne to de mujhe gar meri dastaras mein nahin aasman ka chand mahtab-suraton se bahalne to de mujhe ban jaunga kiran teri subh-e-jamal ki tu apne rang rup mein dhalne to de mujhe bar-e-gham-e-hayat utha lunga aur bhi ai inqilab-e-dahr sambhalne to de mujhe dam tod dengi khud hi purani riwayaten aain-e-mulk-e-shauq badalne to de mujhe mil jaega mujhe bhi ujalon ka rasta zindan-e-tirgi se nikalne to de mujhe