wo ja chuke hain magar khalfashaar baqi hai jo intizar tha wo intizar baqi hai bas itni baat mere shahr-e-yar baqi hai ki nashsha tut chuka hai khumar baqi hai junun ki lamha shigafi se sadiyan phut padin ab un ka ek naya ikhtisar baqi hai ajab hain khel mohabbat ki be-niyazi ke ki aag bujh bhi chuki hai sharar baqi hai hum apna lamha-e-hasti abad bana lae nae azal ka magar intizar baqi hai