subh aur sham ke sab rang hatae hue hain apni aawaz ko taswir banae hue hain ab hamein chaak pe rakh ya khas-o-khashak samajh kuza-gar hum teri aawaz pe aae hue hain hum nahin itne tahi-chashm ki ro bhi na saken chand aansu abhi aankhon mein bachae hue hain hum ne khud apni adalat se saza pai hai zakhm jitne bhi hain apne hi kamae hue hain ai khuda bhej de ummid ki ek taza kiran hum sar-e-dast-e-dua hath uthae hue hain har naya lamha hamein raund ke jata hai ki hum apni mutthi mein gaya waqt chhupae hue hain ek muddat hui tum aae na paigham koi phir bhi kuchh yun hai ki hum aas lagae hue hain