shamil tha ye sitam bhi kisi ke nisab mein titli mili hanut purani kitab mein dekhunga kis tarah se kisi ko azab mein sab ke gunah dal de mere hisab mein phir bewafa ko bahr-e-mohabbat samajh liya phir dil ki naw dub gai hai sarab mein pahle gulab us mein dikhai diya mujhe ab wo mujhe dikhai diya hai gulab mein wo rang-e-atshin wo dahakta hua shabab chehre ne jaise aag laga di naqab mein barish ne apna aks kahin dekhna na ho kyun aaine ubharne lage hain habab mein gardish ki teziyon ne use nur kar diya mitti chamak rahi hai yahi aaftab mein us sang-dil ko main ne pukara to tha 'adim' apni sada hi laut kar aai jawab mein