tere dayar se jins-e-muhaal le aae jawab lane gae aur sawal le aae bahut se log koi tujh sa dhundne nikle majal kis ki jo teri misal le aae shikari dekhta hi rah gaya ba-hairani parinde mil ke ude aur jal le aae visal hijr siyasat masail-e-duniya ghazal mein hum bhi ye kya kya khayal le aae sitam-zarifi hai mushkil pasand logon ki darakht kat na pae to chhaal le aae rula rula diya yaron ne aaj phir 'aqib' gham-e-firaq mein zikr-e-visal le aae