tera wada hai sabab dil ke bahal jaane ka mausam hijr mein har phul ke khil jaane ka khamushi aag lagati hai mere chaaron or mujh ko afsos hai alfaz ke jal jaane ka qatl gahon mein rakhe aaine dekhe to kaha kitna saman tha qatil ke dahal jaane ka umr-e-rafta ke har ek taq pe jalta hai diya tum se milne ka bichhadne ka sambhal jaane ka mausam-e-hijr ho ya wasl ki wo raat hasin 'sima' dhadka sa laga rahta hai dhal jaane ka