un se pahli si mulaqat nahin hoti hai nazren milti hain magar baat nahin hoti hai dil-jalon ke liye ghabra ke gham-e-furqat se jaan de dena badi baat nahin hoti hai mil gaya mujh ko jo milna tha teri ulfat mein gham se badh kar koi saughat nahin hoti hai mujh ko le chal dil-e-betab wahan par ki jahan din hi rahta hai aur raat nahin hoti hai tadne ka nahin tum hi ko saliqa warna kab nazar hail-e-jazbaat nahin hoti hai jaan dena jise aata ho rah-e-ulfat mein us ki qismat mein kabhi mat nahin hoti hai din to kat jata hai furqat ka magar ai 'sahir' kisi surat se basar raat nahin hoti hai