sozish-e-abla-pai nahin sunne wala rasta koi duhai nahin sunne wala aisi aawazon ki zad mein hai samaat us ki wo sada koi parai nahin sunne wala bas yahi shai hai zamane mein mujhe sab se aziz main mohabbat ki burai nahin sunne wala wasl ko chhod ke hain sari dalilen bekar hijr ab koi safai nahin sunne wala guftugu kije magar soch-samajh kar kije har koi harza-sarai nahin sunne wala sab ke sab aadi hue zauq-e-asiri ke yahan koi paigham-e-rihai nahin sunne wala shikwa-e-zakhm-e-jigar us se kiya hai 'dilbar' wo magar dard-e-judai nahin sunne wala