sar utha kar na kabhi dekha kahan baithe the girti diwar ka saya tha jahan baithe the sab the masruf andheron ki kharidari mein hum sajae hue shamon ki dukan baithe the yahi shohrat ka sabab honge ye malum na tha hum chhupae hue zakhmon ke nishan baithe the log to bujhte charaghon ke dhuen se khush the hum hi be-kar jalae hue jaan baithe the mai-kada aur bhi tanhai ka saman nikla hum ki tanhai se tang aa ke yahan baithe the