sar uthae hue zindan se guzar jate hain sar-phire log bayaban se guzar jate hain jaanne ke liye chadhte hue dariya ka mizaj hum to bahte hue tufan se guzar jate hain yaad aa jata hai hum ko gham-e-dauran ka suluk log jab bhi gham-e-jaanan se guzar jate hain hum ne dekha hai masiha ko bhi paband-e-junun ahl-e-dil jab kabhi darman se guzar jate hain wo to aansu the jo aankhon hi mein mahfuz rahe ye hain kuchh phul jo mizhgan se guzar jate hain fasl-e-gul lai hai daman mein chhupa kar kante is liye phul gulistan se guzar jate hain ek fasana hai adhura sa nae daur ke log raushni le ke shabistan se guzar jate hain sar uthae hue phirte the yahan kal jo 'munir' aaj wo gardish-e-dauran se guzar jate hain