ummid-e-subh khayal-e-bahaar kya kya kuchh ganwa ke baithe hain hum jaan-figar kya kya kuchh junun-qimash thi apni khirad ki duniya bhi so bazm bazm sameta ghubar kya kya kuchh wafa khulus murawwat sipas dildari hue hain hum se gunah-e-kibar kya kya kuchh tumhein sarisht-e-alam se raha ilaqa kab ye hum hi the ki hue zer-e-bar kya kya kuchh ye marhala bhi ajab hai ki be-sabaati-e-dil dikha rahi hai sar-e-khwab-zar kya kya kuchh sukut-e-shab mein faqat intizar tha tera uga jo din to uge intizar kya kya kuchh masil-e-barg-e-hina thi lahu ki nairangi ki lakht lakht ubhaare nigar kya kya kuchh shikast-o-fath hayat-o-mamat sud-o-ziyan ye ek main hai mera intishaar kya kya kuchh zaban rang ilaqa qabil jins nasab har ek hai odhe hue ishtihaar kya kya kuchh uthe jo shaikh-o-barahman ba-nam-e-dair-o-haram nafas nafas mein uthe kar-zar kya kya kuchh khuda-parasti kaho chahe khud-parasti kaho hain fi-zamana yahi karobar kya kya kuchh fareb makr riya khud-numai khud-gharzi ye ujle chehre magar dagh-dar kya kya kuchh dua bahaar ki bhule se mang baithe the so shakh shakh khile hain sharar kya kya kuchh