ye husn hai aah ya qayamat ki ek bhabhuka bhabhak raha hai falak pe suraj bhi tharthara kar munh us ka hairat se tak raha hai khajuri choti ada mein moti jafa mein lambi wafa mein chhoti hai aisi khoti ki dil har ek ka har ek lat mein latak raha hai wo nichi kafir siyah patti ki dil ke zakhmon pe bandhe patti padhi hai jis ne ki us ki patti wo patti se sar tapak raha hai wo matha aisa ki chand nikhre phir us ke upar wo baal bikhre dil us ke dekhe se kyun na bikhre ki misl-e-suraj chamak raha hai wo chin khud-raw katile abru wo chashm jadu nigahen aahu wo palken kaj-khu ki jin ka har mu jigar ke andar khatak raha hai ghazab wo chanchal ki shokh-bini phir us pe nathunon ki nukta-chini phir us pe nath ki wo ham-nashini phir us pe moti phadak raha hai lab o dahan bhi wo narm-o-nazuk misi o pan bhi wo qahr-o-afat sukhan bhi karne ki wo latafat ki goya moti tapak raha hai wo kan khubi mein chhak rahe hain jawahron mein jhamak rahe hain idhar ko jhumke jhamak rahe hain udhar ka baala chamak raha hai surahi gardan wo aabgina phir aage sina bhi jun nagina bhara hai jis mein tamam kina ki jun nagina damak raha hai kuchen wo kuchh kuchh samar darakhti kuchh un ki sakhti wo kuchh karakhti hain jis ne dekhe wo phal darkhti kaleja us ka dhadak raha hai wo surkh angiya jo kas rahi hai wo chus rahi hai ukas rahi hai kuchh aise dhab se wo kas rahi hai ki us ka kasna kasak raha hai wo pet dil ko lapet lewe wo naf ji ko samet lewe mazar ji ka jhapet lewe kuchh aisa pedu phadak raha hai wo pith gori kamar wo patli ghazab lagawat wo phir surin ki ab aage kahiye to kya kahun main ki hosh is ja thithuk raha hai faqat wo champe ki ek kali hai kuchh ek mundi hai kuchh ek khuli hai salakh sone ki ek dali hai ki goya kundan damak raha hai wo pyari ranen wo gol saqen wo kaf mulaem wo narm pahunche kadi kadi se khadak rahi hai kada kade se khadak raha hai 'nazir' khubi main us pari ki kahun kahan tak sana bana kar sifat sarapa mein jis ke likhne dil ab usi se atak raha hai